bujhe bujhe se sharare mujhe qubul nahin
bujhe bujhe se sharāre mujhe qubūl nahīñ
savād-e-shab meñ sitāre mujhe qubūl nahīñ
ye koh-o-dasht bhī ā.īna-e-bahār bane
faqat chaman ke nazāre mujhe qubūl nahīñ
tumhāre zauq-karam par bahut huuñ sharminda
murād ye hai sahāre mujhe qubūl nahīñ
misāl-e-mauj samundar kī samt lauT chalo
sukūñ-ba-dosh kināre mujhe qubūl nahīñ
maiñ apne ḳhuuñ se jalā.ūñgā rahguzar ke charāġh
ye kahkashāñ ye sitāre mujhe qubūl nahīñ
'shakeb' jis ko shikāyat hai khul ke baat kare
Dhake-chhupe se ishāre mujhe qubūl nahīñ
bujhe bujhe se sharare mujhe qubul nahin
sawad-e-shab mein sitare mujhe qubul nahin
ye koh-o-dasht bhi aaina-e-bahaar bane
faqat chaman ke nazare mujhe qubul nahin
tumhaare zauq-karam par bahut hun sharminda
murad ye hai sahaare mujhe qubul nahin
misal-e-mauj samundar ki samt lauT chalo
sukun-ba-dosh kinare mujhe qubul nahin
main apne KHun se jalaunga rahguzar ke charagh
ye kahkashan ye sitare mujhe qubul nahin
'shakeb' jis ko shikayat hai khul ke baat kare
Dhake-chhupe se ishaare mujhe qubul nahin
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 383)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.