bujhe charagh se mahtab dekh sakta hun
bujhe charāġh se mahtāb dekh saktā huuñ
maiñ apne ḳhvāb meñ ye ḳhvāb dekh saktā huuñ
maiñ apnī aañkh ke ujḌe hue dayāroñ se
kisī bhī dasht ko shādāb dekh saktā huuñ
tumhārī yaad ke Thahre hue samundar meñ
chhupe hue haiñ jo girdāb dekh saktā huuñ
maiñ is zamāne kī rangīniyoñ ko pal bhar meñ
jamāl-e-yār meñ ġharqāb dekh saktā huuñ
mujhe vo nuur mayassar hai jis se der talak
maiñ apnī shab ko 'sahartāb' dekh saktā huuñ
bujhe charagh se mahtab dekh sakta hun
main apne KHwab mein ye KHwab dekh sakta hun
main apni aankh ke ujDe hue dayaron se
kisi bhi dasht ko shadab dekh sakta hun
tumhaari yaad ke Thahre hue samundar mein
chhupe hue hain jo girdab dekh sakta hun
main is zamane ki ranginiyon ko pal bhar mein
jamal-e-yar mein gharqab dekh sakta hun
mujhe wo nur mayassar hai jis se der talak
main apni shab ko 'sahartab' dekh sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.