bujhi bujhi c tabiat ye rang lai hai
bujhī bujhī c tabī.at ye rang laa.ī hai
ki aaj chāroñ taraf merī jag-hañsā.ī hai
nasīm-e-sub.h batā tū zarā ḳhudā ke liye
ye kis ke vāste āḳhir bahār aa.ī hai
ḳhudā hī jaane vo ā.eñge yā na ā.eñge
salām bhej ke taqdīr āzmā.ī hai
tajallī-e-ruḳh-e-zebā se huuñ agar mahrūm
mirī ḳhatā nahīñ qismat kī nā-rasā.ī hai
jahāñ kā ġham to nahīñ hai magar mujhe 'ḳhālid'
ḳhudā kā ḳhauf bhī hai aur ġham-e-ḳhudā.ī hai
bujhi bujhi c tabiat ye rang lai hai
ki aaj chaaron taraf meri jag-hansai hai
nasim-e-subh bata tu zara KHuda ke liye
ye kis ke waste aaKHir bahaar aai hai
KHuda hi jaane wo aaenge ya na aaenge
salam bhej ke taqdir aazmai hai
tajalli-e-ruKH-e-zeba se hun agar mahrum
meri KHata nahin qismat ki na-rasai hai
jahan ka gham to nahin hai magar mujhe 'KHalid'
KHuda ka KHauf bhi hai aur gham-e-KHudai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.