Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujhi bujhi si nazar mein qarar kis ka hai

Ganesh Gaikwad Aaghaz

bujhi bujhi si nazar mein qarar kis ka hai

Ganesh Gaikwad Aaghaz

MORE BYGanesh Gaikwad Aaghaz

    bujhī bujhī nazar meñ qarār kis hai

    hameñ batā do tumheñ intizār kis hai

    bahut aziiz haiñ tum ko magar zarā socho

    vo jān-e-man hai to jān-e-bahār kis hai

    sunā hai ham ne vo dushman hameñ samajhtā hai

    agar ye sach hai to yaaro vo yaar kis hai

    vo har kisī ko shak nazar se taktā hai

    patā karo ki use e.atibār kis hai

    abhī to us ne qadam rakhā hai mahfil meñ

    nazar nazar meñ abhī se ḳhumār kis hai

    lahūluhān saḌak se chalo zarā pūchheñ

    kaTe saroñ meñ abhī tak shumār kis hai

    jale gharoñ meñ bhī ham to sahī salāmat the

    batāo ham pe abhī iḳhtiyār kis hai

    hameñ patā hai zamāna tumhārā hai lekin

    tumheñ patā hai vo parvardigār kis hai

    bujhi bujhi si nazar mein qarar kis ka hai

    hamein bata do tumhein intizar kis ka hai

    bahut aziz hain tum ko magar zara socho

    wo jaan-e-man hai to jaan-e-bahaar kis ka hai

    suna hai hum ne wo dushman hamein samajhta hai

    agar ye sach hai to yaro wo yar kis ka hai

    wo har kisi ko hi shak ki nazar se takta hai

    pata karo ki use eatibar kis ka hai

    abhi to us ne qadam hi rakha hai mahfil mein

    nazar nazar mein abhi se KHumar kis ka hai

    lahuluhan saDak se chalo zara puchhen

    kaTe saron mein abhi tak shumar kis ka hai

    jale gharon mein bhi hum to sahi salamat the

    batao hum pe abhi iKHtiyar kis ka hai

    hamein pata hai zamana tumhaara hai lekin

    tumhein pata hai wo parwardigar kis ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now