bujhi in aankhon mein KHwab kyon hai
bujhī in āñkhoñ meñ ḳhvāb kyoñ hai
nahīñ hai qissa to baab kyoñ hai
nahīñ ḳhabar us ke aane kī jab
mahak rahā ye gulāb kyoñ hai
jise bhī dekho vo pī rahā hai
agar burī hai sharāb kyoñ hai
chhupā thā jo kuchh hai ab vo zāhir
to ruḳh pe tere naqāb kyoñ hai
hai sāmne tere jab haqīqat
nigāh meñ phir sarāb kyoñ hai
bujhi in aankhon mein KHwab kyon hai
nahin hai qissa to bab kyon hai
nahin KHabar us ke aane ki jab
mahak raha ye gulab kyon hai
jise bhi dekho wo pi raha hai
agar buri hai sharab kyon hai
chhupa tha jo kuchh hai ab wo zahir
to ruKH pe tere naqab kyon hai
hai samne tere jab haqiqat
nigah mein phir sarab kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.