bujhi jati hai sham-e-zindagi aahista aahista
bujhī jaatī hai sham-e-zindagī āhista āhista
miTī jaatī hai dil kī raushnī āhista āhista
sar-e-dār-o-rasan bhī zindagī ke giit gaatā huuñ
yahāñ tak aa ga.ī dīvāngī āhista āhista
tasavvur meñ hazāroñ mai-kade bante bigaḌte haiñ
musībat ban ga.ī hai tishnagī āhista āhista
maiñ Dartā huuñ kahīñ tauhīn-e-zabt-e-ġham na ho jaa.e
zabāñ banñe lagī hai ḳhāmushī āhista āhista
jamāl-e-dost kī ra.anā.iyāñ añgḌā.ī letī haiñ
nikhartī jā rahī hai chāñdnī āhista āhista
kuchh is andāz se 'faizī' bahāreñ raqs-farmā haiñ
chaman banñe lagī har ik kalī āhista āhista
bujhi jati hai sham-e-zindagi aahista aahista
miTi jati hai dil ki raushni aahista aahista
sar-e-dar-o-rasan bhi zindagi ke git gata hun
yahan tak aa gai diwangi aahista aahista
tasawwur mein hazaron mai-kade bante bigaDte hain
musibat ban gai hai tishnagi aahista aahista
main Darta hun kahin tauhin-e-zabt-e-gham na ho jae
zaban banne lagi hai KHamushi aahista aahista
jamal-e-dost ki ranaiyan angDai leti hain
nikharti ja rahi hai chandni aahista aahista
kuchh is andaz se 'faizi' bahaaren raqs-farma hain
chaman banne lagi har ek kali aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.