bujhtā chalā hai sho'la dil-e-dāġh-dār kā
ab koī dam meñ kuuch hai sham'-e-mazār kā
hai ek tarah sho'la dil-e-dāġh-dār kā
bujhtā nahīñ charāġh hamārī mazār kā
dil kī shikastagī pas-e-murdan bhī hai 'ayāñ
shaq sau jagah se sang hai merī mazār kā
nām-āvaroñ ko aisā falak ne miTā diyā
miltā nahīñ nishāñ bhī ab un kī mazār kā
dūd-e-jigar ko jab na milī jā jahān meñ
parvāna ban gayā mirī sham'-e-mazār kā
khīñchūñ agar maiñ qabr meñ ik āh-e-ātishīñ
surma bisān-e-tūr ho patthar mazār kā
miTne se us ke nām-o-nishāñ ḳhalq se miTe
rakkhā hai naam lauh-e-tilism-e-mazār kā
sātoñ falak haiñ zulm ko kyā kam ki bā'd-e-marg
ik aur āsmān ho gumbad mazār kā
ham mar ga.e haiñ ishq meñ ik sabz rang ke
gumbad zamurradī ho hamārī mazār kā
madd-e-nazar ye hai ki miTā.eñ nishāñ talak
surma banā rahe haiñ vo sang-e-mazār kā
paḌhne lage vo fātiha merī samajh ke qabr
paayā kahīñ nishāñ jo kisī ke mazār kā
kah do ye dostoñ se banā.eñ na kuchh nishāñ
bas hai yahī nishān hamārī mazār kā
ro.egā ye bhī sham' kī sūrat tamām 'umr
hañsnā nahīñ hai ḳhuub charāġh-e-mazār kā
dam-bhar ko shāmiyāna lahad par vo ho gayā
uTThā bagūlā koī jo ḳhāk-e-mazār kā
kī justujū kahāñ na kahāñ dostoñ ne par
paayā kahīñ nishāñ na hamārī mazār kā
allah re apne tāle-e-ḳhvābīda kā asar
sabza bhī so rahā hai hamārī mazār kā
kaise ye jhoñke bād-e-muḳhālif ke chal ga.e
gul kar diyā charāġh hamārī mazār kā
kī soz-e-dil se mar ke jo ik āh-e-ātishīñ
misl-e-chinār jal gayā taḳhta mazār kā
vo bevafā bhī rone lagā aa ke qabr par
tā'vīz bā-asar hai hamārī mazār kā
uTh uTh ke baiTh baiTh gayā nā-tavāñ kī tarah
uTThā kabhī ġhubār jo ḳhāk-e-mazār kā
soz-e-darūñ se sang-e-lahad tak chaTak gayā
sabza harā ho ḳhaak hamārī mazār kā
allāh kyā hai tīra-o-tārīk merī qabr
zulmat hai naam kākul-e-sham-e-mazār kā
rote haiñ har lahad se lipaT kar vo zār-zār
miltā nahīñ nishāñ jo hamārī mazār kā
jal jā.eñge ġharīb patange idhar-udhar
raushan karo charāġh na merī mazār kā
ab pūchhte haiñ aap ki 'fāḳhir' guzar gayā
baaqī nishāñ talak na rahā jab mazār kā
bujhta chala hai sho'la dil-e-dagh-dar ka
ab koi dam mein kuch hai sham'-e-mazar ka
hai ek tarah sho'la dil-e-dagh-dar ka
bujhta nahin charagh hamari mazar ka
dil ki shikastagi pas-e-murdan bhi hai 'ayan
shaq sau jagah se sang hai meri mazar ka
nam-awaron ko aisa falak ne miTa diya
milta nahin nishan bhi ab un ki mazar ka
dud-e-jigar ko jab na mili ja jahan mein
parwana ban gaya meri sham'-e-mazar ka
khinchun agar main qabr mein ek aah-e-atishin
surma bisan-e-tur ho patthar mazar ka
miTne se us ke nam-o-nishan KHalq se miTe
rakkha hai nam lauh-e-tilism-e-mazar ka
saton falak hain zulm ko kya kam ki ba'd-e-marg
ek aur aasman ho gumbad mazar ka
hum mar gae hain ishq mein ek sabz rang ke
gumbad zamurradi ho hamari mazar ka
madd-e-nazar ye hai ki miTaen nishan talak
surma bana rahe hain wo sang-e-mazar ka
paDhne lage wo fatiha meri samajh ke qabr
paya kahin nishan jo kisi ke mazar ka
kah do ye doston se banaen na kuchh nishan
bas hai yahi nishan hamari mazar ka
roega ye bhi sham' ki surat tamam 'umr
hansna nahin hai KHub charagh-e-mazar ka
dam-bhar ko shamiyana lahad par wo ho gaya
uTTha bagula koi jo KHak-e-mazar ka
ki justuju kahan na kahan doston ne par
paya kahin nishan na hamari mazar ka
allah re apne tale-e-KHwabida ka asar
sabza bhi so raha hai hamari mazar ka
kaise ye jhonke baad-e-muKHalif ke chal gae
gul kar diya charagh hamari mazar ka
ki soz-e-dil se mar ke jo ek aah-e-atishin
misl-e-chinar jal gaya taKHta mazar ka
wo bewafa bhi rone laga aa ke qabr par
ta'wiz ba-asar hai hamari mazar ka
uTh uTh ke baiTh baiTh gaya na-tawan ki tarah
uTTha kabhi ghubar jo KHak-e-mazar ka
soz-e-darun se sang-e-lahad tak chaTak gaya
sabza hara ho KHak hamari mazar ka
allah kya hai tira-o-tarik meri qabr
zulmat hai nam kakul-e-sham-e-mazar ka
rote hain har lahad se lipaT kar wo zar-zar
milta nahin nishan jo hamari mazar ka
jal jaenge gharib patange idhar-udhar
raushan karo charagh na meri mazar ka
ab puchhte hain aap ki 'faKHir' guzar gaya
baqi nishan talak na raha jab mazar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.