bujhti aankhon ki raushni to dekh
bujhtī āñkhoñ kī raushnī to dekh
chashm meñ tairtī namī to dekh
aa kabhī tū qarīb aa mere
zīst-o-jāñ meñ tirī kamī to dekh
raat bhar jāgtī hai kyuuñ ye shab
jāgtī shab kī bekalī to dekh
umr bhar pāniyoñ ne likkhī pyaas
pāniyoñ kī ye tishnagī to dekh
saath rah kar bhī duur duur hai tū
zindagī kī ye dil-lagī to dekh
maiñ jo ab roz roz dekhtā huuñ
vo tamāshā tū do ghaḌī to dekh
hijr ke zalzale haiñ utre hue
ḳhud-kushī kartī vo nadī to dekh
bujhti aankhon ki raushni to dekh
chashm mein tairti nami to dekh
aa kabhi tu qarib aa mere
zist-o-jaan mein teri kami to dekh
raat bhar jagti hai kyun ye shab
jagti shab ki bekali to dekh
umr bhar paniyon ne likkhi pyas
paniyon ki ye tishnagi to dekh
sath rah kar bhi dur dur hai tu
zindagi ki ye dil-lagi to dekh
main jo ab roz roz dekhta hun
wo tamasha tu do ghaDi to dekh
hijr ke zalzale hain utre hue
KHud-kushi karti wo nadi to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.