bujhti aankhon mein hasin KHwab kahan aate hain
bujhtī āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb kahāñ aate haiñ
ab sar-e-bām vo mahtāb kahāñ aate haiñ
bazm-e-aġhyār meñ baiThā huuñ tamāshā ban kar
dil dukhāne mire ahbāb kahāñ aate haiñ
haath rakh letā huuñ dil par maiñ taḌap kar dekho
mujh ko bhī hijr ke ādāb kahāñ aate haiñ
ham se dīvāne mayassar hī nahīñ duniyā ko
siip meñ gauhar-e-nāyāb kahāñ aate haiñ
is mohabbat ke safar meñ hai aziyyat 'hamza'
dasht ke biich meñ tālāb kahāñ aate haiñ
bujhti aankhon mein hasin KHwab kahan aate hain
ab sar-e-baam wo mahtab kahan aate hain
bazm-e-aghyar mein baiTha hun tamasha ban kar
dil dukhane mere ahbab kahan aate hain
hath rakh leta hun dil par main taDap kar dekho
mujh ko bhi hijr ke aadab kahan aate hain
hum se diwane mayassar hi nahin duniya ko
sip mein gauhar-e-nayab kahan aate hain
is mohabbat ke safar mein hai aziyyat 'hamza'
dasht ke bich mein talab kahan aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.