bujhti aankhon se meri KHwab kahan jata hai
bujhtī āñkhoñ se mirī ḳhvāb kahāñ jaatā hai
ab mujhe le ke ye sailāb kahāñ jaatā hai
ruuh to kab se pareshāñ hai numū kī ḳhātir
musht bhar ḳhitta-e-shādāb kahāñ jaatā hai
apnī hastī meñ to tūfān khiñche aate haiñ
hai jo paañv meñ vo girdāb kahāñ jaatā hai
us kī taqdīr meñ likkhā hai namī meñ rahnā
chhoḌ kar aab ko surḳhāb kahāñ jaatā hai
apnī tahzīb kā ham paas bahut rakhte haiñ
ġhusse meñ lahja-e-ādāb kahāñ jaatā hai
jāgnā merī nigāhoñ kā muqaddar hai 'nisār'
aañkh se jalva-e-mahtāb kahāñ jaatā he
bujhti aankhon se meri KHwab kahan jata hai
ab mujhe le ke ye sailab kahan jata hai
ruh to kab se pareshan hai numu ki KHatir
musht bhar KHitta-e-shadab kahan jata hai
apni hasti mein to tufan khinche aate hain
hai jo panw mein wo girdab kahan jata hai
us ki taqdir mein likkha hai nami mein rahna
chhoD kar aab ko surKHab kahan jata hai
apni tahzib ka hum pas bahut rakhte hain
ghusse mein lahja-e-adab kahan jata hai
jagna meri nigahon ka muqaddar hai 'nisar'
aankh se jalwa-e-mahtab kahan jata he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.