bujhti mashal ki iltija jaise
bujhtī mash.al kī iltijā jaise
log ham ko mile havā jaise
koī insāñ nazar nahīñ aatā
har bashar ho gayā ḳhudā jaise
haath kashkol kī tarah paa.e
lab mile ham ko iltijā jaise
kar diyā hai ḳhudā-e-vāhid ne
band ham par dar-e-duā jaise
gard-ālūd aise socheñ haiñ
koī ehsās ho ḳhafā jaise
aksar auqāt aise kaam kiye
ham ne maaoñ kī bad-duā jaise
aise lagtā hai un se apnā 'nabīl'
TuuT jā.egā rābta jaise
bujhti mashal ki iltija jaise
log hum ko mile hawa jaise
koi insan nazar nahin aata
har bashar ho gaya KHuda jaise
hath kashkol ki tarah pae
lab mile hum ko iltija jaise
kar diya hai KHuda-e-wahid ne
band hum par dar-e-dua jaise
gard-alud aise sochen hain
koi ehsas ho KHafa jaise
aksar auqat aise kaam kiye
hum ne maon ki bad-dua jaise
aise lagta hai un se apna 'nabil'
TuT jaega rabta jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.