bujhti mohabbaton ka dhuan phailne laga
bujhtī mohabbatoñ kā dhuāñ phailne lagā
āñkhoñ meñ aa ke abr koī sochne lagā
jab ḳhāmushī kā zahr bhī us ne uḌā liyā
ḳhvāboñ meñ aa ke naag koī bolne lagā
ab ke ġham-e-hayāt kā naqsha 'ajīb hai
āñkhoñ meñ ashk aa ke mujhe tolne lagā
ye kis kī aañkh mujh pe barābar lagī rahī
ye kaun aa.ine meñ mujhe sochne lagā
likkhā thā lauh-e-dil pe kisī bevafā kā naam
katba banā ke koī mujhe toḌne lagā
bujhti mohabbaton ka dhuan phailne laga
aankhon mein aa ke abr koi sochne laga
jab KHamushi ka zahr bhi us ne uDa liya
KHwabon mein aa ke nag koi bolne laga
ab ke gham-e-hayat ka naqsha 'ajib hai
aankhon mein ashk aa ke mujhe tolne laga
ye kis ki aankh mujh pe barabar lagi rahi
ye kaun aaine mein mujhe sochne laga
likkha tha lauh-e-dil pe kisi bewafa ka nam
katba bana ke koi mujhe toDne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.