bul-hawas kam-fahm hai wo aadmi nadan hai
bul-havas kam-fahm hai vo aadmī nādān hai
jo ye samjhā ishq kuchh mushkil nahīñ āsān hai
kab maiñ kahtā huuñ ki merī jaan merī jaan hai
aap kī hai banda-parvar aap par qurbān hai
be-ḳhudī ke ba.ad kyā guzrī nahīñ kuchh bhī ḳhabar
jalva-gāh-e-nāz tak pahuñchā bas itnā dhyān hai
kis ke jalve se hai be-ḳhud anjuman kī anjuman
har bashar tasvīr hai har aa.ina hairān hai
mus.haf-e-ruḳhsār-e-jānāñ par numūd-e-ḳhat nahīñ
dekhne vaalo ye hai tafsīr vo qur.ān hai
us jagah pahuñchā jahāñ qudsī bhī jā sakte nahīñ
dar-haqīqat aadmī kī shaan bhī kyā shaan hai
us ke bande bandagī karte haiñ lekin ai buto
tum ḳhudā.ī kar rahe ho ye ḳhudā kī shaan hai
kyā chhupoge tum vahāñ vo kuchh tumhārā ghar nahīñ
hashr kā maidān āḳhir hashr kā maidān hai
aarzū miTne kī thī rāh-e-talab meñ miT chuke
aur ab ai hazrat-e-dil kahiye kuchh armān hai
aadmī to sab hī kahlāte haiñ lekin ḳhalq meñ
us kā rutba aur hai jo aadmī insān hai
'sābir'-e-āsī ke isyāñ kyuuñ na baḳhshegā ḳhudā
vo baḌā ġhaffār hai sattār hai rahmān hai
bul-hawas kam-fahm hai wo aadmi nadan hai
jo ye samjha ishq kuchh mushkil nahin aasan hai
kab main kahta hun ki meri jaan meri jaan hai
aap ki hai banda-parwar aap par qurban hai
be-KHudi ke baad kya guzri nahin kuchh bhi KHabar
jalwa-gah-e-naz tak pahuncha bas itna dhyan hai
kis ke jalwe se hai be-KHud anjuman ki anjuman
har bashar taswir hai har aaina hairan hai
mushaf-e-ruKHsar-e-jaanan par numud-e-KHat nahin
dekhne walo ye hai tafsir wo quran hai
us jagah pahuncha jahan qudsi bhi ja sakte nahin
dar-haqiqat aadmi ki shan bhi kya shan hai
us ke bande bandagi karte hain lekin ai buto
tum KHudai kar rahe ho ye KHuda ki shan hai
kya chhupoge tum wahan wo kuchh tumhaara ghar nahin
hashr ka maidan aaKHir hashr ka maidan hai
aarzu miTne ki thi rah-e-talab mein miT chuke
aur ab ai hazrat-e-dil kahiye kuchh arman hai
aadmi to sab hi kahlate hain lekin KHalq mein
us ka rutba aur hai jo aadmi insan hai
'sabir'-e-asi ke isyan kyun na baKHshega KHuda
wo baDa ghaffar hai sattar hai rahman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.