bulae jate hain maqtal mein hum saza ke liye
bulā.e jaate haiñ maqtal meñ ham sazā ke liye
ki ab dimāġh nahīñ arz-e-mudda.ā ke liye
azal ke roz hameñ kaun se vo tohfe mile
ki ham se dahr ne badle ginā ginā ke liye
vo vaade yaad nahīñ tishna hai magar ab tak
vo vaade bhī koī vaade jo mai pilā ke liye
vo lamha bhar kī milī ḳhuld meñ jo āzādī
to qaid ho ga.e miTTī meñ ham sadā ke liye
shumār-e-tār-e-garebāñ meñ hai jo uljhe hue
vo haath bhī to hameñ dījiye duā ke liye
bahut girāñ hai agar tum pe intizār-e-bahār
hamārā ḳhuun sar-e-dast lo hinā ke liye
bulae jate hain maqtal mein hum saza ke liye
ki ab dimagh nahin arz-e-muddaa ke liye
azal ke roz hamein kaun se wo tohfe mile
ki hum se dahr ne badle gina gina ke liye
wo wade yaad nahin tishna hai magar ab tak
wo wade bhi koi wade jo mai pila ke liye
wo lamha bhar ki mili KHuld mein jo aazadi
to qaid ho gae miTTi mein hum sada ke liye
shumar-e-tar-e-gareban mein hai jo uljhe hue
wo hath bhi to hamein dijiye dua ke liye
bahut giran hai agar tum pe intizar-e-bahaar
hamara KHun sar-e-dast lo hina ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.