bulaya hai tumhein to phir bhala ghar kyon nahin jate
bulāyā hai tumheñ to phir bhalā ghar kyoñ nahīñ jaate
mujhe apnī mohabbat se rihā kar kyoñ nahīñ jaate
jo tum yuuñ jā rahe ho be-ḳhabar ho kar hamīñ se ab
suno sun lo zarā phir yaar tum mar kyoñ nahīñ jaate
mujhe jab pyaas thī tab paas meñ paanī nahīñ thā par
bujhī ab pyaas hai to phir samundar kyoñ nahīñ jaate
nahīñ hai ab zarūrat is dil-o-jāñ kī mujhe sach meñ
na jaane paas se mere ye dilbar kyoñ nahīñ jaate
bulaya hai tumhein to phir bhala ghar kyon nahin jate
mujhe apni mohabbat se riha kar kyon nahin jate
jo tum yun ja rahe ho be-KHabar ho kar hamin se ab
suno sun lo zara phir yar tum mar kyon nahin jate
mujhe jab pyas thi tab pas mein pani nahin tha par
bujhi ab pyas hai to phir samundar kyon nahin jate
nahin hai ab zarurat is dil-o-jaan ki mujhe sach mein
na jaane pas se mere ye dilbar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.