buland-o-past ko hamwar kar ke aaya hun
buland-o-past ko hamvār kar ke aayā huuñ
maiñ āsmāñ pe zamīñ se utar ke aayā huuñ
hazār jism ke dariyā the merī rāhoñ meñ
na jaane kitne bhañvar paar kar ke aayā huuñ
vo ik mazāq jise log ishq kahte haiñ
maiñ us mazāq kā jurmāna bhar ke aayā huuñ
ab is se aage ḳhudā jaane kab bikhar jā.ūñ
yahāñ talak to bahut ban sañvar ke aayā huuñ
buland-o-past ko hamwar kar ke aaya hun
main aasman pe zamin se utar ke aaya hun
hazar jism ke dariya the meri rahon mein
na jaane kitne bhanwar par kar ke aaya hun
wo ek mazaq jise log ishq kahte hain
main us mazaq ka jurmana bhar ke aaya hun
ab is se aage KHuda jaane kab bikhar jaun
yahan talak to bahut ban sanwar ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.