bulandi manzilon ki azm se baDh kar banata hun
bulandi manzilon ki azm se baDh kar banata hun
Mohamamd Rafiq Nadvi Shad
MORE BYMohamamd Rafiq Nadvi Shad
bulandī manziloñ kī azm se baḌh kar banātā huuñ
nishān-e-rāh ḳhurshīd-o-mah-o-aḳhtar banātā huuñ
ye apnā zauq hai ki pattharoñ ke shahr meñ rah kar
tumhāre vāste shīshe kā hamdam ghar banātā huuñ
masā.ib se na ghabrānā mirī fitrat meñ shāmil hai
ġham-o-ranj-o-alam kā roz ik daftar banātā huuñ
mire shāhīñ-sifat bachche had-e-parvāz tak pahuñcheñ
kuchh is andāz se maiñ un ke bāl-o-par banātā huuñ
huuñ apnī qaum kā jarrāh yuuñ kahte haiñ ahl-e-fan
isī ḳhātir maiñ fikr-o-fan ke kuchh nashtar banātā huuñ
mirī ġhazloñ kā ek ik sher goyā ik sipāhī hai
maiñ kāġhaz ke sipāhī kaaT kar lashkar banātā huuñ
kahāñ mumkin vo apne 'shād' se bāteñ kareñ dil kī
ḳhayāloñ meñ visāl-e-yār ke manzar banātā huuñ
bulandi manzilon ki azm se baDh kar banata hun
nishan-e-rah KHurshid-o-mah-o-aKHtar banata hun
ye apna zauq hai ki pattharon ke shahr mein rah kar
tumhaare waste shishe ka hamdam ghar banata hun
masaib se na ghabrana meri fitrat mein shamil hai
gham-o-ranj-o-alam ka roz ek daftar banata hun
mere shahin-sifat bachche had-e-parwaz tak pahunchen
kuchh is andaz se main un ke baal-o-par banata hun
hun apni qaum ka jarrah yun kahte hain ahl-e-fan
isi KHatir main fikr-o-fan ke kuchh nashtar banata hun
meri ghazlon ka ek ek sher goya ek sipahi hai
main kaghaz ke sipahi kaT kar lashkar banata hun
kahan mumkin wo apne 'shad' se baaten karen dil ki
KHayalon mein visal-e-yar ke manzar banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.