bulandi par pahunchna hai to paida KHaksari kar
bulandi par pahunchna hai to paida KHaksari kar
Master Nisar Ahmad
MORE BYMaster Nisar Ahmad
bulandī par pahuñchnā hai to paidā ḳhāksārī kar
baḌā ban ne kī ḳhvāhish hai to ijz-o-inkisārī kar
agar hañsne kī ḳhvāhish hai to 'ādat Daal rone kī
sukūñ darkār hai tujh ko to paidā be-qarārī kar
sar-e-taslīm ḳham kar de mizāj-e-yār ke aage
jo lāzim chiiz hai is ko na sābit iḳhtiyārī kar
burā.ī karne vāloñ ko tū hañs kar darguzar kar de
ḳhushāmad karne vāloñ se tū zāhir nā-gavārī kar
yaqīnan nār-e-dozaḳh sard hogī chand qatroñ se
nadāmat se zarā gardan jhukā kar ashk-bārī kar
faqat aage nazar rakhne meñ gir jaane kā ḳhatra hai
to pīchhe dekh kar chalne kī nādāñ hoshiyārī kar
ye dīvānoñ kī duniyā hai ajab kuchh baat hai is kī
sukūn-e-qalb ko pūchhā to bole āh-o-zārī kar
bulandi par pahunchna hai to paida KHaksari kar
baDa ban ne ki KHwahish hai to ijz-o-inkisari kar
agar hansne ki KHwahish hai to 'adat Dal rone ki
sukun darkar hai tujh ko to paida be-qarari kar
sar-e-taslim KHam kar de mizaj-e-yar ke aage
jo lazim chiz hai is ko na sabit iKHtiyari kar
burai karne walon ko tu hans kar darguzar kar de
KHushamad karne walon se tu zahir na-gawari kar
yaqinan nar-e-dozaKH sard hogi chand qatron se
nadamat se zara gardan jhuka kar ashk-bari kar
faqat aage nazar rakhne mein gir jaane ka KHatra hai
to pichhe dekh kar chalne ki nadan hoshiyari kar
ye diwanon ki duniya hai ajab kuchh baat hai is ki
sukun-e-qalb ko puchha to bole aah-o-zari kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.