bulbul ka dil KHizan ke sadme se hil raha hai
bulbul kā dil ḳhizāñ ke sadme se hil rahā hai
gulzār kā muraqqa.a miTTī meñ mil rahā hai
aalam meñ jis ne jis ne dekhā hai aalam un kā
koī to ham se kah de qaabū meñ dil rahā hai
ruḳhsat bahār kī hai kohrām hai chaman meñ
ġhunche se ġhuncha bulbul bulbul se mil rahā hai
hargiz shabāb par tum nāzāñ 'sharaf' na honā
milne ko ḳhaak meñ hai jo phuul khil rahā hai
bulbul ka dil KHizan ke sadme se hil raha hai
gulzar ka muraqqa miTTi mein mil raha hai
aalam mein jis ne jis ne dekha hai aalam un ka
koi to hum se kah de qabu mein dil raha hai
ruKHsat bahaar ki hai kohram hai chaman mein
ghunche se ghuncha bulbul bulbul se mil raha hai
hargiz shabab par tum nazan 'sharaf' na hona
milne ko KHak mein hai jo phul khil raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.