bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki
bulbul kā uḌāyā dil nāhaq ye ḳhām-ḳhayālī phūloñ kī
letī hai talāshī bād-e-sabā ab Daalī Daalī phūloñ kī
ye husn-o-latāfat ye ḳhushbū ye rañg-e-fazā ye josh-e-numū
aalam hai anokhā kaliyoñ kā duniyā hai nirālī phūloñ kī
misl-e-bulbul nik.hat se chhuTe dam bhar ko chaman mumkin hī nahīñ
hotī hai tasadduq phūloñ par ḳhud rahne vaalī phūloñ kī
maanā ki luTā.e rātoñ ko gulzār meñ motī shabnam ne
jab sub.h huī sūraj niklā to jeb thī ḳhālī phūloñ kī
gulchīñ kī bhī nazreñ uThtī haiñ sarsar ke bhī jhoñke aate haiñ
ho aise meñ kis se kyuuñ kar kab tak ye rakhvālī phūloñ kī
aatī hai ḳhizāñ ab ruḳhsat kar zinda jo rahe phir ā.eñge
ham se to na dekhī jā.egī maalī pāmālī phūloñ kī
har barg-e-shajar par ḳhush ho kar gulshan meñ nichhāvar karne ko
nik.hat kā ḳhazāna khol diyā himmat hai ye aalī phūloñ kī
phir rut badlī phir abr uThā phir sard havā.eñ chalne lagīñ
ho jaa.e parī ban jaa.e dulhan ab Daalī Daalī phūloñ kī
hāroñ meñ guñdhe jakḌe bhī ga.e gulshan bhī chhuTā siina bhī chhiddā
pahuñche magar un kī gardan tak ye ḳhush-iqbālī phūloñ kī
sayyād ke ghar se gulshan tak allāh kabhī pahuñchā.e mujhe
ummīd nahīñ maiñ ḳhush ho kar dekhūñ ḳhush-hālī phūloñ kī
gul-gasht meñ bhī chalte phirte kaam us ne kiyā ayyārī kā
iḳhlās baḌhā kar phūloñ se har baat uḌā lī phūloñ kī
māshūqoñ ke dahne baa.eñ to ushshāq kā majma.a rahtā hai
dekhī na anādil se ham ne mahfil kabhī ḳhālī phūloñ kī
ham apne dil meñ dāġhoñ ko yuuñ dekhte haiñ yuuñ dekhte haiñ
kartā hai nigahbānī jaise gulzār meñ maalī phūloñ kī
jo lutf kabhī hāsil thā hameñ vo lutf chaman ke saath gayā
ab kunj-e-qafas meñ khīñchte haiñ tasvīr-e-ḳhyālī phūloñ kī
shabnam ke bhī qatre gulshan meñ bad-mast kiye dete haiñ mujhe
labrez mai-e-ishrat se huī ek ek pyālī phūloñ kī
har misra-e-tar se hai paidā gul-hā-e-mazāmīñ kā jalva
ai 'nūh' kahūñ maiñ is ko ġhazal yā samjhūñ Daalī phūloñ kī
bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki
leti hai talashi baad-e-saba ab Dali Dali phulon ki
ye husn-o-latafat ye KHushbu ye rang-e-faza ye josh-e-numu
aalam hai anokha kaliyon ka duniya hai nirali phulon ki
misl-e-bulbul nikhat se chhuTe dam bhar ko chaman mumkin hi nahin
hoti hai tasadduq phulon par KHud rahne wali phulon ki
mana ki luTae raaton ko gulzar mein moti shabnam ne
jab subh hui suraj nikla to jeb thi KHali phulon ki
gulchin ki bhi nazren uThti hain sarsar ke bhi jhonke aate hain
ho aise mein kis se kyun kar kab tak ye rakhwali phulon ki
aati hai KHizan ab ruKHsat kar zinda jo rahe phir aaenge
hum se to na dekhi jaegi mali pamali phulon ki
har barg-e-shajar par KHush ho kar gulshan mein nichhawar karne ko
nikhat ka KHazana khol diya himmat hai ye aali phulon ki
phir rut badli phir abr uTha phir sard hawaen chalne lagin
ho jae pari ban jae dulhan ab Dali Dali phulon ki
haaron mein gundhe jakDe bhi gae gulshan bhi chhuTa sina bhi chhidda
pahunche magar un ki gardan tak ye KHush-iqbaali phulon ki
sayyaad ke ghar se gulshan tak allah kabhi pahunchae mujhe
ummid nahin main KHush ho kar dekhun KHush-haali phulon ki
gul-gasht mein bhi chalte phirte kaam us ne kiya ayyari ka
iKHlas baDha kar phulon se har baat uDa li phulon ki
mashuqon ke dahne baen to ushshaq ka majma rahta hai
dekhi na anadil se hum ne mahfil kabhi KHali phulon ki
hum apne dil mein daghon ko yun dekhte hain yun dekhte hain
karta hai nigahbani jaise gulzar mein mali phulon ki
jo lutf kabhi hasil tha hamein wo lutf chaman ke sath gaya
ab kunj-e-qafas mein khinchte hain taswir-e-KHyali phulon ki
shabnam ke bhi qatre gulshan mein bad-mast kiye dete hain mujhe
labrez mai-e-ishrat se hui ek ek pyali phulon ki
har misra-e-tar se hai paida gul-ha-e-mazamin ka jalwa
ai 'nuh' kahun main is ko ghazal ya samjhun Dali phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.