bulbul kahin hai phul kahin baghban kahin
bulbul kahīñ hai phuul kahīñ bāġhbāñ kahīñ
allāh phir dikhā.e na aisā samāñ kahīñ
gum-gashtgān-e-shauq kā aalam na pūchhiye
rahbar kahīñ hai raah kahīñ kārvāñ kahīñ
kar to rahe haiñ vo mirī barbādiyoñ kī fikr
ḳhud un kī ghaat meñ na hoñ barbādiyāñ kahīñ
hañste ho mere dāman-e-sad-chāk par hañso
parcham baneñ na fat.h kā ye dhajjiyāñ kahīñ
anjām-e-zabt-e-dard hai duniyā ke sāmne
bijlī kahīñ girī to chalīñ āñdhiyāñ kahīñ
ye bhī ḳhabar nahīñ ki gayā qāfila kidhar
ham to vahīñ ke ho rahe Thahre jahāñ kahīñ
chhuT jaa.e ai 'nazīr' na dāman yaqīn kā
gumrāh kar na deñ tujhe vahm-o-gumāñ kahīñ
bulbul kahin hai phul kahin baghban kahin
allah phir dikhae na aisa saman kahin
gum-gashtgan-e-shauq ka aalam na puchhiye
rahbar kahin hai rah kahin karwan kahin
kar to rahe hain wo meri barbaadiyon ki fikr
KHud un ki ghat mein na hon barbaadiyan kahin
hanste ho mere daman-e-sad-chaak par hanso
parcham banen na fath ka ye dhajjiyan kahin
anjam-e-zabt-e-dard hai duniya ke samne
bijli kahin giri to chalin aandhiyan kahin
ye bhi KHabar nahin ki gaya qafila kidhar
hum to wahin ke ho rahe Thahre jahan kahin
chhuT jae ai 'nazir' na daman yaqin ka
gumrah kar na den tujhe wahm-o-guman kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.