bulbul ke dil se uD gai fariyaad ki hawas
bulbul ke dil se uḌ ga.ī fariyād kī havas
nikle na niklī ḳhātir-e-sayyād kī havas
thoḌī sī umr aur ho yā-rab mujhe atā
rah jaa.e āsmāñ ko na bedād kī havas
bar aa.e kyā murād na chāhe agar ḳhudā
niklī iram banā ke na shaddād kī havas
har gul baġhair yaar hai gul-chīñ kā muntazir
har andalīb-e-bāġh ko sayyād kī havas
ai charḳh chāhiye kabhī aisā bhī inqalāb
shīrīñ ko ho nazāra-e-farhād kī havas
sar ko firāq-e-yār meñ hai ārzū-e-sang
gardan ko apnī ḳhanjar-e-jallād kī havas
kah do ki pā.emāl kare merī laash bhī
qātil ko rah ga.ī ho jo bedād kī havas
ḳhvāhāñ tire na ḳhuld meñ jaa.eñ na qaaf meñ
hai huur kī havā na parī-zād kī havas
shā.ir ko hirs-e-sher agar ho to kyā ajab
kis ko nahīñ hai kasrat-e-aulād kī havas
mānind-e-ā.ina hama-tan chashm hai ye dil
aisī hai dīd-e-husn-e-ḳhudā-dād kī havas
us gul kī aarzū hameñ laa.ī yahāñ talak
thī kis ko sair-e-gulshan-e-ījād kī havas
ham qaidiyoñ kā qaid meñ kis tarah jī bache
phere chhurī jo halq pe jallād kī havas
kiije madad 'asīr' kī hangām-e-naza.a hai
yā-murtazā hai aap se imdād kī havas
bulbul ke dil se uD gai fariyaad ki hawas
nikle na nikli KHatir-e-sayyaad ki hawas
thoDi si umr aur ho ya-rab mujhe ata
rah jae aasman ko na bedad ki hawas
bar aae kya murad na chahe agar KHuda
nikli iram bana ke na shaddad ki hawas
har gul baghair yar hai gul-chin ka muntazir
har andalib-e-bagh ko sayyaad ki hawas
ai charKH chahiye kabhi aisa bhi inqalab
shirin ko ho nazara-e-farhad ki hawas
sar ko firaq-e-yar mein hai aarzu-e-sang
gardan ko apni KHanjar-e-jallad ki hawas
kah do ki paemal kare meri lash bhi
qatil ko rah gai ho jo bedad ki hawas
KHwahan tere na KHuld mein jaen na qaf mein
hai hur ki hawa na pari-zad ki hawas
shair ko hirs-e-sher agar ho to kya ajab
kis ko nahin hai kasrat-e-aulad ki hawas
manind-e-aina hama-tan chashm hai ye dil
aisi hai did-e-husn-e-KHuda-dad ki hawas
us gul ki aarzu hamein lai yahan talak
thi kis ko sair-e-gulshan-e-ijad ki hawas
hum qaidiyon ka qaid mein kis tarah ji bache
phere chhuri jo halq pe jallad ki hawas
kije madad 'asir' ki hangam-e-naza hai
ya-murtaza hai aap se imdad ki hawas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.