bulbul KHarab-o-KHwar hui yun chaman ko chhoD
bulbul ḳharāb-o-ḳhvār huī yuuñ chaman ko chhoḌ
āvāra juuñ phire koī apne vatan ko chhoḌ
ik roz maiñ ne us but-e-ayyār se kahā
lag jā gale se roz ke tū makr-o-fan ko chhoḌ
lailā ko kyā milā na milī qais se agar
shīrīñ ne kyā husūl kiyā kohkan ko chhoḌ
be-tāb-o-be-qarār kī hotī hai aah bad
kahne ko mere maan tū is bāñkpan ko chhoḌ
bolā ki chuTkiyoñ meñ uḌā.ūñgā jab talak
uḌ jaa.e murġh-e-rūh na tere badan ko chhoḌ
bulbul KHarab-o-KHwar hui yun chaman ko chhoD
aawara jun phire koi apne watan ko chhoD
ek roz main ne us but-e-ayyar se kaha
lag ja gale se roz ke tu makr-o-fan ko chhoD
laila ko kya mila na mili qais se agar
shirin ne kya husul kiya kohkan ko chhoD
be-tab-o-be-qarar ki hoti hai aah bad
kahne ko mere man tu is bankpan ko chhoD
bola ki chuTkiyon mein uDaunga jab talak
uD jae murgh-e-ruh na tere badan ko chhoD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.