bulbulo baghban ko kyun chheDa
bulbulo bāġhbāñ ko kyuuñ chheḌā
tum ne sāz-e-fuġhāñ ko kyuuñ chheḌā
mujh ko us turk se ye shikva hai
dil pe rakh kar sināñ ko kyuuñ chheḌā
na bulā laa.e mujh sā dīvāna
sañgsār-e-jahāñ ko kyuuñ chheḌā
ai humā! aur khāne the murde
mere hī ustuḳhāñ ko kyuuñ chheḌā
bahla nādim ho jī meñ kahtā hai
maiñ ne is momiyāñ ko kyuuñ chheḌā
phir gayā mujh se jo mizāj us kā
gardish-e-āsmāñ ko kyuuñ chheḌā
duur se us ne merī sūrat dekh
tosan-e-ḳhush-ināñ ko kyuuñ chheḌā
dāstāñ apnī mujh ko kahnī thī
qissa-e-īn-o-āñ ko kyuuñ chheḌā
qissa-ḳhvāñ aur laakh qisse the
tū ne zikr-e-butāñ ko kyuuñ chheḌā
jis se kal mujh ko aa ga.ī thī ġhashī
phir usī dāstāñ ko kyuuñ chheḌā
'mus.hafī' ghar ke ghar jalā degā
aise ātish-zabāñ ko kyuuñ chheḌā
bulbulo baghban ko kyun chheDa
tum ne saz-e-fughan ko kyun chheDa
mujh ko us turk se ye shikwa hai
dil pe rakh kar sinan ko kyun chheDa
na bula lae mujh sa diwana
sangsar-e-jahan ko kyun chheDa
ai huma! aur khane the murde
mere hi ustuKHan ko kyun chheDa
bahla nadim ho ji mein kahta hai
main ne is momiyan ko kyun chheDa
phir gaya mujh se jo mizaj us ka
gardish-e-asman ko kyun chheDa
dur se us ne meri surat dekh
tosan-e-KHush-inan ko kyun chheDa
dastan apni mujh ko kahni thi
qissa-e-in-o-an ko kyun chheDa
qissa-KHwan aur lakh qisse the
tu ne zikr-e-butan ko kyun chheDa
jis se kal mujh ko aa gai thi ghashi
phir usi dastan ko kyun chheDa
'mushafi' ghar ke ghar jala dega
aise aatish-zaban ko kyun chheDa
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.