buniyaad-e-iKHtilaf pe zinda rahe donon
buniyād-e-iḳhtilāf pe zinda rahe donoñ
achchhā huā ki muddatoñ tanhā rahe donoñ
dīvār-e-anā ho ga.ī mazbūt ġhalat hai
sach ye hai ki andar se shikasta rahe donoñ
donoñ ne hī dhoke meñ kisī ko nahīñ rakkhā
aur sāmne ho kar pas-e-chehra rahe donoñ
is sūd-o-ziyāñ se bhī alag thā koī ehsās
aur is meñ hī mahfūz ziyāda rahe donoñ
ik shaḳhs kī maujūdgī ġhā.eb kā pata thī
yāroñ meñ magar misl-e-latīfa rahe donoñ
buniyaad-e-iKHtilaf pe zinda rahe donon
achchha hua ki muddaton tanha rahe donon
diwar-e-ana ho gai mazbut ghalat hai
sach ye hai ki andar se shikasta rahe donon
donon ne hi dhoke mein kisi ko nahin rakkha
aur samne ho kar pas-e-chehra rahe donon
is sud-o-ziyan se bhi alag tha koi ehsas
aur is mein hi mahfuz ziyaada rahe donon
ek shaKHs ki maujudgi ghaeb ka pata thi
yaron mein magar misl-e-latifa rahe donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.