buq’a-e-nur har ek rahguzar ho jae
buq’a-e-nūr har ik rāhguzar ho jaa.e
vo mirī raat se guzre to sahar ho jaa.e
husn-e-tābāñ kī tajallī kā vo 'ālam ho ki bas
ik jhalak dekh ke taskīn-e-nazar ho jaa.e
koī to jalva-kunāñ ho mah-o-anjum kī tarah
dīda-e-shauq kī jo rāhguzar ho jaa.e
‘āriz-e-husn pe rātoñ kā baserā hai to kyā
ruḳh se jhaTkā de jo zulfoñ ko sahar ho jaa.e
ham ki muusā nahīñ koī jo taqāzā karte
husn ḳhud chāhe to mahfūz-e-nazar ho jaa.e
ham vafā kar ke bhī badnām bahut haiñ yaaro
vo jafā bhī jo kareñ haiñ to hunar ho jaa.e
tum kuredā na karo dil kī dabī rākhoñ ko
sho'la sho'la na kahīñ ḳhāk-e-sharar ho jaa.e
sāmne us ke samundar kī haqīqat kyā hai
ek qatra jo gunahgār-e-guhar ho jaa.e
nau’-e-ādam meñ koī tuḳhm 'sahar' hai ki nahīñ
ḳhaak ke parde se nikle to bashar ho jaa.e
buq’a-e-nur har ek rahguzar ho jae
wo meri raat se guzre to sahar ho jae
husn-e-taban ki tajalli ka wo 'alam ho ki bas
ek jhalak dekh ke taskin-e-nazar ho jae
koi to jalwa-kunan ho mah-o-anjum ki tarah
dida-e-shauq ki jo rahguzar ho jae
‘ariz-e-husn pe raaton ka basera hai to kya
ruKH se jhaTka de jo zulfon ko sahar ho jae
hum ki musa nahin koi jo taqaza karte
husn KHud chahe to mahfuz-e-nazar ho jae
hum wafa kar ke bhi badnam bahut hain yaro
wo jafa bhi jo karen hain to hunar ho jae
tum kureda na karo dil ki dabi rakhon ko
sho'la sho'la na kahin KHak-e-sharar ho jae
samne us ke samundar ki haqiqat kya hai
ek qatra jo gunahgar-e-guhar ho jae
nau’-e-adam mein koi tuKHm 'sahar' hai ki nahin
KHak ke parde se nikle to bashar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.