bura hi kya tha jo aap apni misal hote kamal hote
burā hī kyā thā jo aap apnī misāl hote kamāl hote
kisī tarah se jo TuuTe rishte bahāl hote kamāl hote
ye lailā majnūñ ye hiir rāñjhā ye shīrīñ farhād kī mohabbat
thī aisī shiddat kahīñ jo un ke visāl hote kamāl hote
paḌhā nahīñ thā nisāb-e-ulfat amal meñ aage the har kisī se
samajhtī duniyā agar hameñ be-misāl hote kamāl hote
vo mujh se miltā ḳhamosh rahtā ḳhamoshiyoñ par hī daad paatā
magar jo nazroñ se munfarid se savāl hote kamāl hote
ye kyā ki tanhā.iyoñ se rishta banā ke ḳhud ko gañvā liyā hai
samā ke mujh meñ jo aap merā jamāl hote kamāl hote
jise bhī dekhā usī ko da.avā-e-husn karte sunā gayā hai
jahān bhar meñ hasīñ agar ḳhāl-ḳhāl hote kamāl hote
nasīb apnā suḳhanvaroñ meñ hamārī gintī na ho sakegī
'umar' adākār ham agar bā-kamāl hote kamāl hote
bura hi kya tha jo aap apni misal hote kamal hote
kisi tarah se jo TuTe rishte bahaal hote kamal hote
ye laila majnun ye hir ranjha ye shirin farhad ki mohabbat
thi aisi shiddat kahin jo un ke visal hote kamal hote
paDha nahin tha nisab-e-ulfat amal mein aage the har kisi se
samajhti duniya agar hamein be-misal hote kamal hote
wo mujh se milta KHamosh rahta KHamoshiyon par hi dad pata
magar jo nazron se munfarid se sawal hote kamal hote
ye kya ki tanhaiyon se rishta bana ke KHud ko ganwa liya hai
sama ke mujh mein jo aap mera jamal hote kamal hote
jise bhi dekha usi ko dawa-e-husn karte suna gaya hai
jahan bhar mein hasin agar KHal-KHal hote kamal hote
nasib apna suKHanwaron mein hamari ginti na ho sakegi
'umar' adakar hum agar ba-kamal hote kamal hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.