bura na man kaha hai ye maine wahshat mein
burā na maan kahā hai ye maiñ ne vahshat meñ
mire salīqe se merī nibhī mohabbat meñ
nahīñ hai is ke sivā kuchh mirī hikāyat meñ
ḳhushī ke harf likhe maiñ ne ġham kī hālat meñ
ye jaan kar huā mashġhūl maiñ tilāvat meñ
bahut hai fā.eda ḳhushbūoñ kī tijārat meñ
tū hī batā ki maiñ ḳhud ko kahāñ talāsh karūñ
bichhaḌ gayā huuñ maiñ ḳhud se tirī mohabbat meñ
bahut zarūrī hai ḳhud se mukālima karnā
ziyāda lutf jab aane lage ibādat meñ
hazār ḳhvāhisheñ pā leñ hazār ḳhvāb bune
milā vahī jo likhā thā hamārī qismat meñ
zavāl kahnā paḌegā use bhī qadroñ kā
fareb khātā nahīñ ab koī muravvat meñ
vo shaḳhs jo tire dukh dard oḌhe phirtā thā
usī kā zikr nahīñ hai tirī masarrat meñ
chaTaḳhtī kaise na us ke makān kī buniyād
naqab lagā.ī thī us ne paḌos kī chhat meñ
kabhī firāq kī ghaḌiyāñ kabhī visāl ke pal
hamesha rahtī nahīñ ziist ek hālat meñ
ilaaj jis kā kisī se na ho sakā 'shībān'
kuchh aisā dard hai pinhā hamārī hijrat meñ
bura na man kaha hai ye main ne wahshat mein
mere saliqe se meri nibhi mohabbat mein
nahin hai is ke siwa kuchh meri hikayat mein
KHushi ke harf likhe main ne gham ki haalat mein
ye jaan kar hua mashghul main tilawat mein
bahut hai faeda KHushbuon ki tijarat mein
tu hi bata ki main KHud ko kahan talash karun
bichhaD gaya hun main KHud se teri mohabbat mein
bahut zaruri hai KHud se mukalima karna
ziyaada lutf jab aane lage ibaadat mein
hazar KHwahishen pa len hazar KHwab bune
mila wahi jo likha tha hamari qismat mein
zawal kahna paDega use bhi qadron ka
fareb khata nahin ab koi murawwat mein
wo shaKHs jo tere dukh dard oDhe phirta tha
usi ka zikr nahin hai teri masarrat mein
chaTaKHti kaise na us ke makan ki buniyaad
naqab lagai thi us ne paDos ki chhat mein
kabhi firaq ki ghaDiyan kabhi visal ke pal
hamesha rahti nahin zist ek haalat mein
ilaj jis ka kisi se na ho saka 'shiban'
kuchh aisa dard hai pinha hamari hijrat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.