bura waqt aa kar guzarta nahin hai
burā vaqt aa kar guzartā nahīñ hai
masarrat bharā pal Thahartā nahīñ hai
karo ḳhud ujāloñ ke asbāb paidā
charāġhoñ meñ sūraj utartā nahīñ hai
sañbhāleñ sabhī martaba apnā apnā
samundar nadī meñ utartā nahīñ hai
buzurgoñ kī izzat hai jis ghar kā sheva
ye sach hai ki vo ghar bikhartā nahīñ hai
anā par agar baat aa jaa.e 'sābir'
havāoñ se tinkā bhī Dartā nahīñ hai
bura waqt aa kar guzarta nahin hai
masarrat bhara pal Thaharta nahin hai
karo KHud ujalon ke asbab paida
charaghon mein suraj utarta nahin hai
sanbhaalen sabhi martaba apna apna
samundar nadi mein utarta nahin hai
buzurgon ki izzat hai jis ghar ka shewa
ye sach hai ki wo ghar bikharta nahin hai
ana par agar baat aa jae 'sabir'
hawaon se tinka bhi Darta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.