bure insan ko bad-kari ka mehwar khinch leta hai
bure insāñ ko bad-kārī kā mehvar khīñch letā hai
ki jaise-taise dariyā ko samundar khīñch letā hai
bhare bāzār meñ us shaḳhs ko sañgsār kar denā
gale se apnī biivī ke jo zevar khīñch letā hai
qadam mere nikal paḌte haiñ jab gumrāh rastoñ par
mujhe qur.ān kī jānib tirā dar khīñch letā hai
maiñ apne biivī bachchoñ meñ kahāñ se pyaar bāñTūñgā
lahū mere badan kā jabki daftar khīñch letā hai
mire mahbūb kī tahrīr se hai kis qadar mānūs
ḳhatoñ ke Dher se vo ḳhat kabūtar khīñch letā hai
jahāñ ġhurbat bilaktī hai jahāñ ma.asūm rote haiñ
mirī ġhazloñ kā shahzāda vo manzar khīñch letā hai
javānī thī to man-mānī kā tūfāñ thā tabī.at meñ
buḌhāpe meñ qadam rakkhā to bistar khīñch letā hai
'amīn' ehsās terā Dūbtā hai jab taḳhayyul meñ
samundar ke kināre hī se gauhar khīñch letā hai
bure insan ko bad-kari ka mehwar khinch leta hai
ki jaise-taise dariya ko samundar khinch leta hai
bhare bazar mein us shaKHs ko sangsar kar dena
gale se apni biwi ke jo zewar khinch leta hai
qadam mere nikal paDte hain jab gumrah raston par
mujhe quran ki jaanib tera dar khinch leta hai
main apne biwi bachchon mein kahan se pyar banTunga
lahu mere badan ka jabki daftar khinch leta hai
mere mahbub ki tahrir se hai kis qadar manus
KHaton ke Dher se wo KHat kabutar khinch leta hai
jahan ghurbat bilakti hai jahan masum rote hain
meri ghazlon ka shahzada wo manzar khinch leta hai
jawani thi to man-mani ka tufan tha tabiat mein
buDhape mein qadam rakkha to bistar khinch leta hai
'amin' ehsas tera Dubta hai jab taKHayyul mein
samundar ke kinare hi se gauhar khinch leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.