bure logon ki ruhen yun farishta khinch leta hai
bure logoñ kī rūheñ yuuñ farishta khīñch letā hai
ki jaise koī kāñToñ par se kapḌā khīñch letā hai
usī hamdard par lagtī hai aksar qatl kī tohmat
ki jo maqtūl ke siine se neza khīñch letā hai
jise schōl kī halkī kitābeñ bojh lagtī thiiñ
vo ab majbūr ho kar bhārī rickshaw khīñch letā hai
maiñ jab bhī koshisheñ kartā huuñ ūñchā.ī pe chaḌhne kī
mirā apnā hī koī pair merā khīñch letā hai
fan-e-ash.ār bhī ik tarah kī photography hai
suḳhanvar sher meñ har ġham kā naqsha khīñch letā hai
mujhe dīdār se bhī baḌh ke aatā hai maza is meñ
vo maare sharm ke jab ruḳh pe parda khīñch letā hai
'nabīl' is shā.erī ke shauq ko āsān mat samjho
ragoñ se ye lahū kā qatra-qatra khīñch letā hai
bure logon ki ruhen yun farishta khinch leta hai
ki jaise koi kanTon par se kapDa khinch leta hai
usi hamdard par lagti hai aksar qatl ki tohmat
ki jo maqtul ke sine se neza khinch leta hai
jise school ki halki kitaben bojh lagti thin
wo ab majbur ho kar bhaari rickshaw khinch leta hai
main jab bhi koshishen karta hun unchai pe chaDhne ki
mera apna hi koi pair mera khinch leta hai
fan-e-ashaar bhi ek tarah ki photography hai
suKHanwar sher mein har gham ka naqsha khinch leta hai
mujhe didar se bhi baDh ke aata hai maza is mein
wo mare sharm ke jab ruKH pe parda khinch leta hai
'nabil' is shaeri ke shauq ko aasan mat samjho
ragon se ye lahu ka qatra-qatra khinch leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.