Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

burida-dast-o-qalam ki baraat le ke chalo

Muslim Shameem

burida-dast-o-qalam ki baraat le ke chalo

Muslim Shameem

MORE BYMuslim Shameem

    burīda-dast-o-qalam barāt le ke chalo

    harīm-e-jabr meñ sham-e-hayāt le ke chalo

    fareb-e-shab sahī aaj qasr-e-zulmat meñ

    sahar baat chalī hai ye baat le ke chalo

    sitam-kasho ḳhalish-e-zaḳhm-e-e'tibār ke saath

    jarāhat-e-nigah-e-iltifāt le ke chalo

    ye rasm-e-sañg-zanī ajnabī baat nahīñ

    jabīn-e-shauq pe naqsh-e-sabāt le ke chalo

    'shamīm' jins-e-vafā zindagī ke mele se

    ḳharīdnā hai to naqd-e-hayāt le ke chalo

    burida-dast-o-qalam ki baraat le ke chalo

    harim-e-jabr mein sham-e-hayat le ke chalo

    fareb-e-shab hi sahi aaj qasr-e-zulmat mein

    sahar ki baat chali hai ye baat le ke chalo

    sitam-kasho KHalish-e-zaKHm-e-e'tibar ke sath

    jarahat-e-nigah-e-iltifat le ke chalo

    ye rasm-e-sang-zani ajnabi si baat nahin

    jabin-e-shauq pe naqsh-e-sabaat le ke chalo

    'shamim' jins-e-wafa zindagi ke mele se

    KHaridna hai to naqd-e-hayat le ke chalo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now