burida gesuon mein aankh ka rasta nahin tha
burida gesuon mein aankh ka rasta nahin tha
Mohammad Izhar ul Haq
MORE BYMohammad Izhar ul Haq
burīda gesuoñ meñ aañkh kā rasta nahīñ thā
vo chehra ḳhūbsūrat thā magar dekhā nahīñ thā
maiñ jab sāhil pe utrā ḳhalq merī muntazir thī
ka.ī din ho ga.e the bādshāh miltā nahīñ thā
bulāte the hameñ injīr aur zaitūn ke phal
magar vaadī meñ jaane kā koī rasta nahīñ thā
tanā yāqūt kā shāḳheñ zamurrad kī banī thiiñ
samar la.al-o-gohar the naḳhl kā saaya nahīñ thā
paroñ meñ aa.ine minqār meñ tāj-e-shahī thā
parinda qaaf se aayā magar uḌtā nahīñ thā
burida gesuon mein aankh ka rasta nahin tha
wo chehra KHubsurat tha magar dekha nahin tha
main jab sahil pe utra KHalq meri muntazir thi
kai din ho gae the baadshah milta nahin tha
bulate the hamein injir aur zaitun ke phal
magar wadi mein jaane ka koi rasta nahin tha
tana yaqut ka shaKHen zamurrad ki bani thin
samar lal-o-gohar the naKHl ka saya nahin tha
paron mein aaine minqar mein taj-e-shahi tha
parinda qaf se aaya magar uDta nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.