burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai
burrish-e-teġh bhī hai phuul kī mahkār bhī hai
vo ḳhamoshī ki jo sad maujib-e-iz.hār bhī hai
chhoḌiye un ke shab-o-roz kī rūdād-e-zubūñ
aap ko ḳhāk-nashīnoñ se sarokār bhī hai
maslahat mujh ko bhī malhūz hai ai ham-suḳhano
par mire pesh-e-nazar vaqt kī raftār bhī hai
maut ke ḳhauf se har saañs rukī jaatī hai
zindagī aaj koī terā ḳharīdār bhī hai
talḳhī-e-hāl ko hai ishrat-e-fardā kā fareb
dil junūñ-kosh hai aur 'aql tarahdār bhī hai
mere mahbūb mujhe vaqf-e-taġhāful na samajh
ziist ke laakh taqāze haiñ terā pyaar bhī hai
ahl-e-guftār kī to bhiiḌ lagī hai 'aḳhtar'
dekhnā in meñ koī sāhab-e-kirdār bhī hai
burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai
wo KHamoshi ki jo sad maujib-e-izhaar bhi hai
chhoDiye un ke shab-o-roz ki rudad-e-zubun
aap ko KHak-nashinon se sarokar bhi hai
maslahat mujh ko bhi malhuz hai ai ham-suKHano
par mere pesh-e-nazar waqt ki raftar bhi hai
maut ke KHauf se har sans ruki jati hai
zindagi aaj koi tera KHaridar bhi hai
talKHi-e-haal ko hai ishrat-e-farda ka fareb
dil junun-kosh hai aur 'aql tarahdar bhi hai
mere mahbub mujhe waqf-e-taghaful na samajh
zist ke lakh taqaze hain tera pyar bhi hai
ahl-e-guftar ki to bhiD lagi hai 'aKHtar'
dekhna in mein koi sahab-e-kirdar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.