bus ki ab zulf ka sauda bhi mere sar mein nahin
bus ki ab zulf kā saudā bhī mire sar meñ nahīñ
kyā karūñ maañg ke us ko jo muqaddar meñ nahīñ
vo bhī manzar thā ki ḳhud mujh meñ thā ik ik manzar
ye bhī manzar hai ki ab maiñ kisī manzar meñ nahīñ
ab jo ham ḳhud ko sameTeñ to sameTeñ kitnā
sar bhī hai apnā khulā paañv bhī chādar meñ nahīñ
ai mire shauq-e-shahādat tirā hāfiz hai ḳhudā
saḳht jaañ maiñ bhī huuñ aur dhaar bhī ḳhanjar meñ nahīñ
milne kī aas meñ kāñToñ pe bhī chal kar ḳhush thā
aur ab chain mujhe phūloñ ke bistar meñ nahīñ
ab mirī pyaas ke bujhne kā nahīñ koī savāl
ab mire naam kī sahbā kisī sāġhar meñ nahīñ
baat ye hai ki nazar tāb-e-nazar kho baiThī
ye nahīñ hai ki kashish ab kisī paikar meñ nahīñ
maiñ to sab kā huuñ rifāqat pe mirī sab ko hai naaz
koī merā hī magar mere bhare ghar meñ nahīñ
pur-tapāk aaj bhī milte haiñ na jaane kitne
lekin iḳhlās 'vaqār' in meñ se aksar meñ nahīñ
bus ki ab zulf ka sauda bhi mere sar mein nahin
kya karun mang ke us ko jo muqaddar mein nahin
wo bhi manzar tha ki KHud mujh mein tha ek ek manzar
ye bhi manzar hai ki ab main kisi manzar mein nahin
ab jo hum KHud ko sameTen to sameTen kitna
sar bhi hai apna khula panw bhi chadar mein nahin
ai mere shauq-e-shahadat tera hafiz hai KHuda
saKHt jaan main bhi hun aur dhaar bhi KHanjar mein nahin
milne ki aas mein kanTon pe bhi chal kar KHush tha
aur ab chain mujhe phulon ke bistar mein nahin
ab meri pyas ke bujhne ka nahin koi sawal
ab mere nam ki sahba kisi saghar mein nahin
baat ye hai ki nazar tab-e-nazar kho baiThi
ye nahin hai ki kashish ab kisi paikar mein nahin
main to sab ka hun rifaqat pe meri sab ko hai naz
koi mera hi magar mere bhare ghar mein nahin
pur-tapak aaj bhi milte hain na jaane kitne
lekin iKHlas 'waqar' in mein se aksar mein nahin
- Book : Waqar-e-Hunar (Pg. 112)
- Author : Mohammad Zahiir
- Publication : Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.