but-gari-e-jamal mein guzra
but-garī-e-jamāl meñ guzrā
ahd-e-kufr ek haal meñ guzrā
vaqt guzrā jo be-ḳhayālī meñ
vo tire hī ḳhayāl meñ guzrā
kuchh kaTā vaqt ranj-e-dūrī meñ
kuchh ḳhayāl-e-visāl meñ guzrā
haa.e vo zaḳhm jin kā mausam-e-gul
dahshat-e-indimāl meñ guzrā
phir dhaḌakne lagā hai dil apnā
kyā kahūñ kyā ḳhayāl meñ guzrā
nigah-e-dost kā bhī mausam-e-lutf
dil hī kī dekh-bhāl meñ guzrā
ek lamhe meñ kitne saal kaTe
ek lamha bhī saal meñ guzrā
but-gari-e-jamal mein guzra
ahd-e-kufr ek haal mein guzra
waqt guzra jo be-KHayali mein
wo tere hi KHayal mein guzra
kuchh kaTa waqt ranj-e-duri mein
kuchh KHayal-e-visal mein guzra
hae wo zaKHm jin ka mausam-e-gul
dahshat-e-indimal mein guzra
phir dhaDakne laga hai dil apna
kya kahun kya KHayal mein guzra
nigah-e-dost ka bhi mausam-e-lutf
dil hi ki dekh-bhaal mein guzra
ek lamhe mein kitne sal kaTe
ek lamha bhi sal mein guzra
- Book : Bhasha Sangam (Quterly Patna) (Pg. 227)
- Author : B. Pradhan,Managing Editor Imteyaz Ahmad Karimi
- Publication : Urdu Directorate Flate No. 202, C Block, Afirs Hotle, Beli Road, Patna (July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21)
- Edition : July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.