but-KHana sang-e-rah hai jis ku-e-yar ka
but-ḳhāna sang-e-rāh hai jis kū-e-yār kā
kā'ba bhī ik nishāñ hai usī rahguzār kā
adnā sā 'aks hai ruḳh-e-rangīn-e-yār kā
'ālam banā huā hai muraqqā bahār kā
mujh ko to shauq-e-sajda meñ ye bhī nahīñ ḳhabar
sang-e-dar-e-raqīb hai yā qasr yaar kā
rahmat bhī tere saath hai baḳhshish bhī tere saath
phir ḳhauf kyā hai pursish-e-roz-e-shumār kā
ho jaa.eñ ek kāfir-o-dīñ-dār kis tarah
jalva alag alag hai ruḳh-o-zulf-e-yār kā
zāhid tamām taqva-o-tāmāt chhoḌ de
qaa.il agar hai rahmat-e-parvardigār kā
tasvīr bhī na us kī tasavvur meñ khiñch sakī
adnā sā ye kamāl hai shoḳhi-e-yār kā
fiqre ġhazab ke likkhe haiñ ḳhat ke javāb meñ
goyā qalam se kaam liyā zulfiqār kā
kar duuñ na ġharq-e-jām dil-e-be-qarār ko
jhagḌā chukā hī duuñ na dil-e-be-qarār kā
shān-e-karam ko us kī gavārā nahīñ kabhī
māyūs ho ke lauTnā ummīd-vār kā
pīr-e-muġhāñ sā piir ho 'shāġhil' kā mo'taqid
phir zikr-o-shaġhl dekh mai-e-ḳhush-gavār kā
but-KHana sang-e-rah hai jis ku-e-yar ka
ka'ba bhi ek nishan hai usi rahguzar ka
adna sa 'aks hai ruKH-e-rangin-e-yar ka
'alam bana hua hai muraqqa bahaar ka
mujh ko to shauq-e-sajda mein ye bhi nahin KHabar
sang-e-dar-e-raqib hai ya qasr yar ka
rahmat bhi tere sath hai baKHshish bhi tere sath
phir KHauf kya hai pursish-e-roz-e-shumar ka
ho jaen ek kafir-o-din-dar kis tarah
jalwa alag alag hai ruKH-o-zulf-e-yar ka
zahid tamam taqwa-o-tamat chhoD de
qail agar hai rahmat-e-parwardigar ka
taswir bhi na us ki tasawwur mein khinch saki
adna sa ye kamal hai shoKHi-e-yar ka
fiqre ghazab ke likkhe hain KHat ke jawab mein
goya qalam se kaam liya zulfiqar ka
kar dun na gharq-e-jam dil-e-be-qarar ko
jhagDa chuka hi dun na dil-e-be-qarar ka
shan-e-karam ko us ki gawara nahin kabhi
mayus ho ke lauTna ummid-war ka
pir-e-mughan sa pir ho 'shaghil' ka mo'taqid
phir zikr-o-shaghl dekh mai-e-KHush-gawar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.