but ko but aur KHuda ko jo KHuda kahte hain
but ko but aur ḳhudā ko jo ḳhudā kahte haiñ
ham bhī dekheñ to use dekh ke kyā kahte haiñ
jo bhale haiñ vo buroñ ko bhī bhalā kahte haiñ
na burā sunte haiñ achchhe na burā kahte haiñ
bazm-e-ahbāb-o-mai-e-nāb visāl-e-ma.ashūq
ab kisī shai meñ nahīñ jis ko maza kahte haiñ
maiñ gunahgār agar ishq-e-majāzī hai gunāh
maiñ ḳhatāvār agar is ko ḳhatā kahte haiñ
pahle to 'dāġh' kī tārīf huā kartī thī
ab ḳhudā jaane vo kyoñ us ko burā kahte haiñ
but ko but aur KHuda ko jo KHuda kahte hain
hum bhi dekhen to use dekh ke kya kahte hain
jo bhale hain wo buron ko bhi bhala kahte hain
na bura sunte hain achchhe na bura kahte hain
bazm-e-ahbab-o-mai-e-nab visal-e-mashuq
ab kisi shai mein nahin jis ko maza kahte hain
main gunahgar agar ishq-e-majazi hai gunah
main KHatawar agar is ko KHata kahte hain
pahle to 'dagh' ki tarif hua karti thi
ab KHuda jaane wo kyon us ko bura kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.