Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

Dagh Dehlvi

butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    butān-e-māh-vash ujḌī huī manzil meñ rahte haiñ

    ki jis jaan jaatī hai usī ke dil meñ rahte haiñ

    zamīñ par paañv nafrat se nahīñ rakhte parī-paikar

    ye goyā is makāñ dūsrī manzil meñ rahte haiñ

    muhīt-e-ishq har mauj tūfāñ-ḳhez aisī hai

    vo haiñ girdāb meñ jo dāman-e-sāhil meñ rahte haiñ

    ḳhudā rakkhe mohabbat ne kiye ābād donoñ ghar

    maiñ un ke dil meñ rahtā huuñ vo mere dil meñ rahte haiñ

    jo hotī ḳhūb-sūrat to na chhuptī qais se lailā

    magar aise vaise parda-e-mahmil meñ rahte haiñ

    hamāre saa.e se bachtā hai har ik bazm meñ us

    hameñ dekho ki ham tanhā bharī mahfil meñ rahte haiñ

    koī nām-o-nishāñ pūchhe to ai qāsid batā denā

    taḳhallus 'dāġh' hai vo āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ

    butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

    ki jis ki jaan jati hai usi ke dil mein rahte hain

    zamin par panw nafrat se nahin rakhte pari-paikar

    ye goya is makan ki dusri manzil mein rahte hain

    muhit-e-ishq ki har mauj tufan-KHez aisi hai

    wo hain girdab mein jo daman-e-sahil mein rahte hain

    KHuda rakkhe mohabbat ne kiye aabaad donon ghar

    main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain

    jo hoti KHub-surat to na chhupti qais se laila

    magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain

    hamare sae se bachta hai har ek bazm mein us ki

    hamein dekho ki hum tanha bhari mahfil mein rahte hain

    koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena

    taKHallus 'dagh' hai wo aashiqon ke dil mein rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now