Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur Tuk bhi qayam karta

Nazeer Akbarabadi

buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur Tuk bhi qayam karta

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    butoñ majlis meñ shab ko mah-rū jo aur Tuk bhī qayām kartā

    kunisht vīrāñ sanam ko banda brahmnoñ ko ġhulām kartā

    ḳharāb ḳhasta samajh ke ne piyāre mujh ko abas nikālā

    jo rahne detā gul-ruḳhoñ meñ qasam hai merī maiñ naam kartā

    karoḌoñ dil jo mue paḌe haiñ nikalte ḳhūnīñ kafan se nālāñ

    qayāmat aa jaatī jo vo qāmat galī meñ apnī ḳhirām kartā

    na itne qisse na jañg hotī piyāre tere milāp uupar

    raqīb aapī se zahr khāne jo vasl payām kartā

    vo sarv-qāmat jo muskurā kar chaman meñ jaatā to muskurā kar

    taḌaptī bulbul sisaktī qumrī guloñ pe hañsnā harām kartā

    bhalā huā jo naqāb ne uThāyā chehre se hai parī-rū

    vagarna siine se dil taḌap kar nigah meñ aa kar maqām kartā

    jo zulfeñ mukhḌe pe khol detā sanam hamārā to phir ye gardūñ

    na din dikhātā na shab bitātā na sub.h laatā na shaam kartā

    vo bazm apnī thī mai-ḳhurī farishte ho jaate mast be-ḳhud

    jo shaiḳh-jī vaañ se bach ke aate to phir maiñ un ko salām kartā

    'nazīr' terī ishāratoñ se ye bāteñ ġhairoñ sun rahā hai

    vagarna kis meñ thī tāb-o-tāqat jo us se aa kar kalām kartā

    buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur Tuk bhi qayam karta

    kunisht viran sanam ko banda brahmnon ko ghulam karta

    KHarab KHasta samajh ke tu ne piyare mujh ko abas nikala

    jo rahne deta tu gul-ruKHon mein qasam hai meri main nam karta

    karoDon dil jo mue paDe hain nikalte KHunin kafan se nalan

    qayamat aa jati jo wo qamat gali mein apni KHiram karta

    na itne qisse na jang hoti piyare tere milap upar

    raqib aapi se zahr khane jo wasl ka tu payam karta

    wo sarw-qamat jo muskura kar chaman mein jata to muskura kar

    taDapti bulbul sisakti qumri gulon pe hansna haram karta

    bhala hua jo naqab tu ne uThaya chehre se hai pari-ru

    wagarna sine se dil taDap kar nigah mein aa kar maqam karta

    jo zulfen mukhDe pe khol deta sanam hamara to phir ye gardun

    na din dikhata na shab bitata na subh lata na sham karta

    wo bazm apni thi mai-KHuri ki farishte ho jate mast be-KHud

    jo shaiKH-ji wan se bach ke aate to phir main un ko salam karta

    'nazir' teri ishaaraton se ye baaten ghairon ki sun raha hai

    wagarna kis mein thi tab-o-taqat jo us se aa kar kalam karta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now