buton ko kibriyai kyun na aai
butoñ ko kibriyā.ī kyuuñ na aa.ī
ḳhudā ho kar ḳhudā.ī kyuuñ na aa.ī
mizāj-e-yār rangīñ thā mire kaam
mirī rangīñ-navā.ī kyuuñ na aa.ī
vafā bhī dilrubā.ī kā hai andāz
tumheñ ye dilrubā.ī kyuuñ na aa.ī
jo tum ne siikh lī ġhair-āshnā.ī
mujhe dushman kī aa.ī kyuuñ na aa.ī
vafādārī zarā tum kyuuñ na sīkhe
hameñ kuchh bevafā.ī kyuuñ na aa.ī
mujhe bād-e-sabā se ye gila hai
barā.e dil-kushā.ī kyuuñ na aa.ī
hamārī dāstān-e-dard sun kar
unheñ riqqat na aa.ī kyuuñ na aa.ī
shab-e-ġham kī na sūrat dekhtī maiñ
ajal roz-e-judā.ī kyuuñ na aa.ī
buton ko kibriyai kyun na aai
KHuda ho kar KHudai kyun na aai
mizaj-e-yar rangin tha mere kaam
meri rangin-nawai kyun na aai
wafa bhi dilrubai ka hai andaz
tumhein ye dilrubai kyun na aai
jo tum ne sikh li ghair-ashnai
mujhe dushman ki aai kyun na aai
wafadari zara tum kyun na sikhe
hamein kuchh bewafai kyun na aai
mujhe baad-e-saba se ye gila hai
barae dil-kushai kyun na aai
hamari dastan-e-dard sun kar
unhen riqqat na aai kyun na aai
shab-e-gham ki na surat dekhti main
ajal roz-e-judai kyun na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.