buton se humne ja ke iltija ki
butoñ se ham ne jā ke iltijā kī
baġhāvat ye ḳhudā se barmalā kī
fanā jab ho chukī kashtī hamārī
to phir āvāz aa.ī nāḳhudā kī
jhukā dī ye jabīñ har naqsh-e-pā par
ilāhī ḳhair mere dast-o-pā kī
ajab hai mere qātil kā ravayya
idhar to ḳhuuñ kiyā aur phir duā kī
raham khaao mire hāl-e-zabūñ par
qasam haañ haañ qasam tujh ko ḳhudā kī
mubārak sad-mubārak jo tujhe 'prem'
jafā ne shaan rakh lī hai vafā kī
buton se hum ne ja ke iltija ki
baghawat ye KHuda se barmala ki
fana jab ho chuki kashti hamari
to phir aawaz aai naKHuda ki
jhuka di ye jabin har naqsh-e-pa par
ilahi KHair mere dast-o-pa ki
ajab hai mere qatil ka rawayya
idhar to KHun kiya aur phir dua ki
raham khao mere haal-e-zabun par
qasam han han qasam tujh ko KHuda ki
mubarak sad-mubarak jo tujhe 'prem'
jafa ne shan rakh li hai wafa ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.