bu-e-gul ke muraqabe mein hun
bū-e-gul ke murāqabe meñ huuñ
yā'nī pahle se maiñ maze meñ huuñ
āsmāñ tak uḌaan bharnī hai
ik parinde se rābte meñ huuñ
tere gun milte haiñ sabhī mujh se
yā'nī maiñ tere zā.iche meñ huuñ
vo sahelī se baat kar rahī hai
maiñ bhī yāroñ ke mashvare meñ huuñ
us kī āñkhoñ se niiñd ġhā.eb hai
aur maiñ shak ke dā.ere meñ huuñ
tere hāthoñ se pī thī chaa.e kabhī
aaj tak us ke zā.iqe meñ huuñ
tum ko dekhā to hosh meñ aayā
varna kahtā ki maiñ nashe meñ huuñ
ḳhushk pattoñ sī zindagī merī
ik ḳhizāñ ke muhāsare meñ huuñ
us kī sāñsoñ meñ dard gahrā hai
jis diye ko sañbhālne meñ huuñ
'aks merā talāshne vaale
us kī āñkhoñ ke aa.ine meñ huuñ
mujh ko hairat se dekhtī kyoñ hai
zindagī tere falsafe meñ huuñ
bu-e-gul ke muraqabe mein hun
ya'ni pahle se main maze mein hun
aasman tak uDan bharni hai
ek parinde se rabte mein hun
tere gun milte hain sabhi mujh se
ya'ni main tere zaiche mein hun
wo saheli se baat kar rahi hai
main bhi yaron ke mashware mein hun
us ki aankhon se nind ghaeb hai
aur main shak ke daere mein hun
tere hathon se pi thi chae kabhi
aaj tak us ke zaiqe mein hun
tum ko dekha to hosh mein aaya
warna kahta ki main nashe mein hun
KHushk patton si zindagi meri
ek KHizan ke muhasare mein hun
us ki sanson mein dard gahra hai
jis diye ko sanbhaalne mein hun
'aks mera talashne wale
us ki aankhon ke aaine mein hun
mujh ko hairat se dekhti kyon hai
zindagi tere falsafe mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.