bu-e-gul mauj par aati hai bahut raat gae
bū-e-gul mauj par aatī hai bahut raat ga.e
rūh-e-ehsās pe chhātī hai bahut raat ga.e
ġham kī purvā.ī sanaktī hai to har choT mirī
mo.ajiza apnā dikhātī hai bahut raat ga.e
ye bhī us nāz-e-taġhāful kā gila hai ai dil
aah jo hoñT pe aatī hai bahut raat ga.e
kaun rotā hai liye hāthoñ pe armān kī laash
ek āvāz sī aatī hai bahut raat ga.e
apnī āvāra mizājī ko duā detā huuñ
kū-ba-kū mujh ko phirātī hai bahut raat ga.e
ek nādīda ujāle kī tamannā meñ hayāt
apnī palkoñ ko sajātī hai bahut raat ga.e
shoḳhī jab rang pe aatī hai kisī kī 'nāzim'
dil kī tasvīr banātī hai bahut raat ga.e
bu-e-gul mauj par aati hai bahut raat gae
ruh-e-ehsas pe chhati hai bahut raat gae
gham ki purwai sanakti hai to har choT meri
moajiza apna dikhati hai bahut raat gae
ye bhi us naz-e-taghaful ka gila hai ai dil
aah jo honT pe aati hai bahut raat gae
kaun rota hai liye hathon pe arman ki lash
ek aawaz si aati hai bahut raat gae
apni aawara mizaji ko dua deta hun
ku-ba-ku mujh ko phiraati hai bahut raat gae
ek nadida ujale ki tamanna mein hayat
apni palkon ko sajati hai bahut raat gae
shoKHi jab rang pe aati hai kisi ki 'nazim'
dil ki taswir banati hai bahut raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.