bu-e-gul rang-e-hina naz-e-nasim-e-sahari
bū-e-gul rang-e-hinā nāz-e-nasīm-e-saharī
tire afsūñ kī sab ai dost hai afsāna-garī
ek hī haal pe qaa.em hai azal se ab tak
husn kī ishva-garī ishq kī shorīda-sarī
jaane vaale to sitāroñ se pare jā pahuñche
ahl-e-mahfil liye baiThe rahe shīshe kī parī
ab koī farq nahīñ in meñ ḳhazaf hoñ ki guhar
haa.e ai ahd-e-basīrat ye tirī be-basarī
kitne majrūh haiñ is daur meñ ehsās-o-shu.ūr
kitnī mazlūm hai is ahd meñ bāliġh-nazarī
tujh ko ai dost 'vafā' yaad rahe yā na rahe
haañ magar yaad rahegī mirī vīrāñ-nazarī
bu-e-gul rang-e-hina naz-e-nasim-e-sahari
tere afsun ki sab ai dost hai afsana-gari
ek hi haal pe qaem hai azal se ab tak
husn ki ishwa-gari ishq ki shorida-sari
jaane wale to sitaron se pare ja pahunche
ahl-e-mahfil liye baiThe rahe shishe ki pari
ab koi farq nahin in mein KHazaf hon ki guhar
hae ai ahd-e-basirat ye teri be-basari
kitne majruh hain is daur mein ehsas-o-shuur
kitni mazlum hai is ahd mein baaligh-nazari
tujh ko ai dost 'wafa' yaad rahe ya na rahe
han magar yaad rahegi meri viran-nazari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.