bu-e-KHun KHanjar mein rahne dijiye
bū-e-ḳhūñ ḳhanjar meñ rahne dījiye
baat ghar kī ghar meñ rahne dījiye
zulmat-e-shab ko na kahiye raushnī
farq ḳhair-o-shar meñ rahne dījiye
apnī yādeñ saath le jaa.eñ na aap
raushnī kuchh ghar meñ rahne dījiye
varna tanhā.ī mujhe khā jā.egī
koī saudā sar meñ rahne dījiye
aap merī baat kā diije javāb
ḳhāmushī patthar meñ rahne dījiye
faash ho jaa.e na 'shādāñ' rāz-e-ishq
shor-e-girya ghar meñ rahne dījiye
bu-e-KHun KHanjar mein rahne dijiye
baat ghar ki ghar mein rahne dijiye
zulmat-e-shab ko na kahiye raushni
farq KHair-o-shar mein rahne dijiye
apni yaaden sath le jaen na aap
raushni kuchh ghar mein rahne dijiye
warna tanhai mujhe kha jaegi
koi sauda sar mein rahne dijiye
aap meri baat ka dije jawab
KHamushi patthar mein rahne dijiye
fash ho jae na 'shadan' raaz-e-ishq
shor-e-girya ghar mein rahne dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.