bu-e-nasim se kabhi baad-e-shimal se
bū-e-nasīm se kabhī bād-e-shimāl se
kasb-e-nashāt kartā huuñ tere jamāl se
jāñ-dāda-e-latāfat-e-zikr-e-habīb ko
raġhbat nahīñ fasāna-e-jāh-o-jalāl se
us husn-e-be-hijāb kī shādābiyāñ na pūchh
goyā ki be-niyāz hai fikr-e-ma.āl se
ye aish kaash ishrat-e-jāved ho sake
pahlū meñ dil dhaḌaktā hai ḳhauf-e-zavāl se
jal uThte haiñ hasīn diye ārzūoñ ke
aivān-e-ġham meñ aaj bhī tere ḳhayāl se
gah gah miTātā huuñ ġham-e-daurāñ kī talḳhiyāñ
yāqūt-rang hoñToñ ke āb-e-zulāl se
mahtāb-vash nikhartī haiñ afsurda shoḳhiyāñ
us chehra-e-sabīh pe aks-e-malāl se
bu-e-nasim se kabhi baad-e-shimal se
kasb-e-nashat karta hun tere jamal se
jaan-dada-e-latafat-e-zikr-e-habib ko
raghbat nahin fasana-e-jah-o-jalal se
us husn-e-be-hijab ki shadabiyan na puchh
goya ki be-niyaz hai fikr-e-maal se
ye aish kash ishrat-e-jawed ho sake
pahlu mein dil dhaDakta hai KHauf-e-zawal se
jal uThte hain hasin diye aarzuon ke
aiwan-e-gham mein aaj bhi tere KHayal se
gah gah miTata hun gham-e-dauran ki talKHiyan
yaqut-rang honTon ke aab-e-zulal se
mahtab-wash nikharti hain afsurda shoKHiyan
us chehra-e-sabih pe aks-e-malal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.