bu ki ho su-e-bagh nikle hai
bū ki ho sū-e-bāġh nikle hai
baav se ik dimāġh nikle hai
hai jo andher shahr meñ ḳhurshīd
din ko le kar charāġh nikle hai
chob-kārī hī se rahegā shaiḳh
ab to le kar chumāġh nikle hai
de hai jumbish jo vaañ kī ḳhaak ko baav
jigar daaġh daaġh nikle hai
har sahar hādisa mirī ḳhātir
bhar ke ḳhuuñ kā ayāġh nikle hai
us galī kī zamīn-e-tafta se
dil-jaloñ kā surāġh nikle hai
shāyad us zulf se lagī hai 'mīr'
baav meñ ik dimāġh nikle hai
bu ki ho su-e-bagh nikle hai
baw se ek dimagh nikle hai
hai jo andher shahr mein KHurshid
din ko le kar charagh nikle hai
chob-kari hi se rahega shaiKH
ab to le kar chumagh nikle hai
de hai jumbish jo wan ki KHak ko baw
jigar dagh dagh nikle hai
har sahar hadisa meri KHatir
bhar ke KHun ka ayagh nikle hai
us gali ki zamin-e-tafta se
dil-jalon ka suragh nikle hai
shayad us zulf se lagi hai 'mir'
baw mein ek dimagh nikle hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0613
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.