buDhe qissa-go ki sans ukhaDti thi
būḌhe qissa-go kī saañs ukhaḌtī thī
raat kī chhat pe niilī shabnam paḌtī thī
duur kahīñ the fēl-savār ḳhalā-zāde
raste meñ sūraj kī bastī paḌtī thī
baaġh meñ jādū-garnī ik ḳhurshīd-laqā
pahroñ apne husn pe ḳhuub akaḌtī thī
raat kaḌaktī barq kī dahshatnāk anī
aañkh kī putlī meñ jā jā ke gaḌtī thī
ik tājir-zādī se dil kā saudā thā
bante bante ik dam baat bigaḌtī thī
jannat ke haq-dāroñ ko is duniyā meñ
roTī bhī mushkil se puurī paḌtī thī
gorī ke sandūq meñ ummīdoñ ke biich
surḳh moshajjar kī poshāk sikuḌtī thī
aañkh khulī to jin thā aur na añgūThī
qismat apnā ḳhālī haath ragaḌtī thī
buDhe qissa-go ki sans ukhaDti thi
raat ki chhat pe nili shabnam paDti thi
dur kahin the feel-sawar KHala-zade
raste mein suraj ki basti paDti thi
bagh mein jadu-garni ek KHurshid-laqa
pahron apne husn pe KHub akaDti thi
raat kaDakti barq ki dahshatnak ani
aankh ki putli mein ja ja ke gaDti thi
ek tajir-zadi se dil ka sauda tha
bante bante ek dam baat bigaDti thi
jannat ke haq-daron ko is duniya mein
roTi bhi mushkil se puri paDti thi
gori ke sanduq mein ummidon ke bich
surKH moshajjar ki poshak sikuDti thi
aankh khuli to jin tha aur na anguThi
qismat apna KHali hath ragaDti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.