bund mein kaise chhupa rahta hai sagar dekho
buuñd meñ kaise chhupā rahtā hai sāgar dekho
apne ehsās ke dariyā meñ utar kar dekho
rotī phirtī hai vafā 'ishq meñ dar dar dekho
kitne ziyāda haiñ zamāne meñ sitamgar dekho
kaise aayā hai mere sar pe ye chhappar dekho
mere paapā kī hathelī ko bhī paḌh kar dekho
sar pe mālik ke na.e kapḌe kī chādar dekho
saarī duniyā ko banā kar use be-ghar dekho
saḳht koshish thī mirī tum raho dil meñ mere
kaise bikhrā hai tire ġham meñ merā ghar dekho
terī duniyā meñ sabhī ek barābar lekin
raushnī sab ko nahīñ miltī barābar dekho
maiñ tere 'ishq meñ be-bāt fanā ho baiThā
kaam aayā na tire dar ke merā sar dekho
bhāvnā kaun sī thī us ko maiñ samjhā hī nahīñ
shā'irī chūmtī hai sattā kī Thokar dekho
dekh kar merī nigāhoñ kī talab ko yaaro
paanī paanī huā jaatā hai samundar dekho
mujh se hotā to nahīñ terā bayāñ 'ishq kabhī
log kahne na lage mujh ko suḳhanvar dekho
saarī duniyā se fareboñ se adākārī se
jal na jaa.e kahīñ ehsās kā manzar dekho
bund mein kaise chhupa rahta hai sagar dekho
apne ehsas ke dariya mein utar kar dekho
roti phirti hai wafa 'ishq mein dar dar dekho
kitne ziyaada hain zamane mein sitamgar dekho
kaise aaya hai mere sar pe ye chhappar dekho
mere papa ki hatheli ko bhi paDh kar dekho
sar pe malik ke nae kapDe ki chadar dekho
sari duniya ko bana kar use be-ghar dekho
saKHt koshish thi meri tum raho dil mein mere
kaise bikhra hai tere gham mein mera ghar dekho
teri duniya mein sabhi ek barabar lekin
raushni sab ko nahin milti barabar dekho
main tere 'ishq mein be-baat fana ho baiTha
kaam aaya na tere dar ke mera sar dekho
bhawna kaun si thi us ko main samjha hi nahin
sha'iri chumti hai satta ki Thokar dekho
dekh kar meri nigahon ki talab ko yaro
pani pani hua jata hai samundar dekho
mujh se hota to nahin tera bayan 'ishq kabhi
log kahne na lage mujh ko suKHanwar dekho
sari duniya se farebon se adakari se
jal na jae kahin ehsas ka manzar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.